taDap uThuuN bhii to zaalim terii duhaa_ii na duuN
main zaKhm zaKhm huuN phir bhii tujhe dikhaa_ii na duuN

tere badan men dhaDakane lagaa huuN dil kii tarah
ye aur baat ke ab bhii tujhe sunaa_ii na duuN

Khud apane aap ko parakhaa to ye nadaamat hai
ke ab kabhii use ilzaam-e-bevafaa_ii na duuN

(nadaamat=regret/shame)

mujhe bhii DhuuNDh kabhii mahv-e-aa_iinaa_daarii
main teraa aqs huuN lekin tujhe dikhaa_ii na duuN

(mahv=immersed in; aqs=reflection)

Ahmad Faraz

0 comments:

ahmad-faraz « WordPress.com Tag Feed