muntazir kab se tahayyur hai terii taqariir kaa
baat kar tujh par gumaaN hone lagaa tasviir kaa

(muntazir=waiting; tahayyur=amazement; taqariir=speech)

raat kyaa soye ki baaqii umr kii niind uD ga_ii
Khvaab kyaa dekhaa ki dhaDakaa lag gayaa taabiir kaa

(taabiir=reality)

jaane tuu kis aalam men bichhaDaa hai ki tere baGair
aaj tak har lafz fariyaadii merii tahariir kaa

(tahariir=writing)

jis tarah baadal kaa saayaa pyaas bhaDakaataa rahe
main ne vo aalam bhii dekhaa hai terii tasviir kaa

kis tarah paayaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
mujh saa munkir bhii to qaa_il ho gayaa taqadiir kaa

(munkir=atheist; qaa_il honaa=to be a fan/follower)

ishq men sar phoDanaa bhii kyaa ke ye be-meher log
juu-e-KhuuN ko naam dete hain juu-e-shiir kaa

jis ko bhii chaahaa use shiddat se chaahaa hai Faraz
si_-silaa TuuTaa nahiin dard kii zanjiir kaa

0 comments:

ahmad-faraz « WordPress.com Tag Feed