ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

kis kis ko bataayenge judaa_ii kaa sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huuN lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum
ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hain ummiiden
ye aaKhirii shammen bhii bujhaane ke liye aa

The following ashaar are by Talib Baghpati but Mehdi Hassan
always sings them as part of this Gazal
maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
chupake se kisii roz jataane ke liye aa

jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa

Ahmad Faraz

0 comments:

ahmad-faraz « WordPress.com Tag Feed