haath uThe hain magar lab pe duaa ko_ii nahiin
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa ko_ii nahiin

(duaa = prayer; jazaa = reward)

ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil men sadaa ko_ii nahiin

aa ke ab tasliim kar len tuu nahiin to main sahii
kaun maanegaa ke ham men bevafaa ko_ii nahiin

vaqt ne vo Khaak uDaa_ii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hain phir bhii naqsh-e-paa ko_ii nahiin

(dasht = desert/wildnerness; qaafile = caravans)
(naqsh-e-paa = footprints)

Khud ko yuuN mahasuur kar baiThaa huuN apanii zaat men
manzilen chaaron taraf hai raastaa ko_ii nahiin

(mahasuur = surrounded; zaat = self/one's personality)

kaise raaston se chale aur kis jagah pahuNche Faraz
yaa hujuum-e-dostaaN thaa saath yaa ko_ii nahiin

0 comments:

ahmad-faraz « WordPress.com Tag Feed