ab naye saal kii mohalat nahiin milane vaalii
aa chuke ab to shab-o-roz azaabon vaale

(mohalat=time; shab-o-roz=night and day; azaab=pain/misfortune)

ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaaN bolate hain
ab kahaaN log muhabbat ke nisaabon vaale

(dashnaa=dagger)

zindaa rahane kii tamannaa ho to ho jaate hain
faaKhtaaon ke bhii kirdaar uqaabon vaale

na mere zaKhm khile hain na teraa rang-e-hinaa
mausam aaye hii nahiin ab ke gulaabon vaale

0 comments:

ahmad-faraz « WordPress.com Tag Feed