pech rakhate ho bahut saaj-o-dastaar ke biich
main ne sar girate hue dekhe hain baazaar ke biich

(pech = anger; saaj-o-dastaar = turban)

baaG_baanon ko ajab ranj se takate hain gulaab
gul_farosh aaj bahut jamaa hain gul_zaar ke biich

(ranj = sorrow; gul_farosh = flower sellers)

kaj adaaon kii inaayat hai ki ham se ushshaaq
kabhii diivaar ke piichhe kabhii diivaar ke biich

(kaj - crooked; ushshaaq = lovers)

tum ho naa_Khush to yahaaN kaun hai Khush phir bhi Faraz
log rahate hain isii shahar-e-dil-e-aazaar ke biich

0 comments:

ahmad-faraz « WordPress.com Tag Feed